Saturday, March 31, 2007

Umera Ahmed k Novel "Peer-e-Kamil" se kuch Iqtebas.........


“Aap main se agar koi bata sakay k Peer-e-Kamil kon hota hay?” Wahan mojood log aik doosray ko dekhnay lagay phir aik ne kaha,”Peer-e-kamil naik shakhs hota hay,Ibadat Guzar shakhs,Parsa Admi”
Dr. Sabt Ali ne sar hilaya,”bohat se log naik hotay hain,Ibadat Guzar hotay
hain,parsa hotay hain,aap k ird gird aisay bohat se log hotay hain to kia wo sab
Peer-e-Kamil hotay hain??”
“Nahin! Peer-e-Kamil wo admi hota hay jo dikhaway k liye Ibadat nahi karta,Dil se ibadat karta hay,sirf Allah k liye us ki naiki or parsai dhong nahi hoti”,aik or shakhs ne ne apni raye di.
“Apnay Halqa Ahbab main aap main se har aik kisi na kisi aisay shakhs ko zaroor janta hoga,jis ki ibadat k baray main ussay ya shubah nahi hota k wo dhong hay,jis ki naiki or parsai ka bhi aap ko yaqeen hota hay to kia wo shakhs Peer-e-Kamil hay?”
kuch dair khamoshi rahi phir aik or shakhs ne kaha...
“Peer-e-Kamil aik aisa shakhs hota hay ,jis k alfaz main taseer hoti hay k wo insane ka dil badal daitay hain”
“Taseer bhi bohat se logon k alfaz main hoti hay,kuch k Monh se nikalnay walay alfaz main,kuch k qalam se nikalnay walay alfaz main,Taseer to stage par kharay aik Compare or akhbar ka Ka’lam likhnay walay aik Journalist k alfaz main bhi hoti hay to kia wo Peer-e-Kamil hotay hain?
Aik or shakhs bola” Peer-e-Kamil wo hota hay jissay Alham or Wajdan ho,jo mustaqbil ko boojh sakay”
“ham main se bohat saray log aisay khuab dekhtay hain jin main mustaqbil main darpesh anay walay halat se hamain agahi hojati hay,kuch log istekhara bhi kartay hain or cheezon k baray main kisi had tak jan jatay hain,kuch logon ki chati His(6th Sence)bohat taiz hoti hay,wo khatron ko bhanp jatay hain"
“Peer-e-Kamil kon hota hay?Dr Sahab kuch dair khamosh rahay,unhon ne phir apna sawal dohraya ,,,,,
“Peer-e-Kamil kon hota hay? Salar uljhan amaiz andaz main Dr Sabt Ali k chahray ko dekhnay laga

“Kia Dr Sabt Ali k ilawa koi or Peer-e-Kamil ho sakta tha or agar wo nahi thae to phir kon tha or kon ho sakta hay?”
Wahan baithay huay logon k Dil-o-Dimagh main aik hi gounj thi...
Dr Sabt Ali 1,1 ka chahra dekh rahay thae,phir un k chahray ki muskurahat ahista ahista madoom ho gai……….
“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay,Naik or Parsa hota hay..us ki har Dua qubool hoti hay,is had tak jis had tak Allah chahay..us k alfaz main taseer bhi hoti hay,wo logon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…

Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay ab us k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab us ki Dua Allah tak Pohanchayain,koi or Allah k samnay us k liye gir-giraye,koi aisa
shakhs jis ki Duayain qabool hoti hon,jis k labon se nikalnay wali il-tejayain us k apnay lafzon ki tarha wapis na mor di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay,bhagta phirta hay,Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….
Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se ab tak jari hay ..ya talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main ya khuahish,ya talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata…kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta,Peer-e-Kamil ki ya talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....
phir Paighambaron ki Ma-boosiyat ka ya silsila Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k sath kahtam kar diya gaya…Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki ummat k liye Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k bad kisi or Peer-e-Kamil ki gunjaiysh nahi rakhi gai Kon hay jissay ab ya aainda anay wallay zamanay main Hazrat Mohammad(Sallal Laho
Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar koi muqam diya jaye???
Kon hay jissay Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Kamliyat de di jaye????
Kon hay jo Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi Shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Shafa’at ka dawa kar sakay???
Jamid or mutaqil khamoshi k surat main anay wala “Nafi”main ya jawab ham se sirf aik sawal karta hay….
Peer-e-Kamil(Sallal Laho ALahe Walay Hi Wasallam) ko chor kar ham dunya main or kis wajood ko khojnay nikal kharay huay hain?? Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k Bay’at Shuda hotay huay hamain doosray kisi Shakhs ki Bay’at ki zaroorat rah gai hay????
Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k rastay par chalnay k bajaye hamain doosra kon sa rasta apni taraf khainch raha hay???
Kia Musalmanon k liye Aik Allah, Aik Quran,Aik Rasool (Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or un ki Sunnat kafi nahi????
Allah us k Rasool Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)or us ki Kitab k ilawa or kon sa shakhs ,kon sa Kalaam hay jo hamain Dunya or Akhirat ki takleefon se bacha sakay ga????
Jo hamari Duaoon ko qabooliat bakhshay,jo ham par naimatain or rahmatain nazil
kar sakay??
Koi Peer-e-Kamil ka firqa(sect) bata sakta hay???Nahin bata sakta” Dr Sabt Ali Kah rahay thae……..
“Wo sirf Musalman thae,wo musalman jo ye yaqeen rakhtay thae k agar wo Sirat-e-Mustaqeem par chaplain gay to wo jannat main jayain gay,us rastay se hatain gay to Allah k Azab ka nishana banain gay or Sirat-e-Mustaqeem wo rasta hay jo Allah apnay Paighambar(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye Quran Pak main batata hay,saaf,do tok or Wazah Alfaz main…wok am karain jis ka hukm Allah apnay Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye daita hay or us kam se ruk jayain jis se mana kia jata hay….. Allah, Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or Quran kisi bat main koi abham nahi rakhtay..
Quran ko kholiye,agar us main kahin do tok or ghair-mubham alfaz main kisi doosray Peer-e-Kamil ya Paighambar ka zikr milay to us ki talash kartay rahiya aur agar aisa kuch nazar nahi ata to phir sirf khof khaiye k aap apnay pairon ko kis daldal main liye ja rahay hain…apni 50,60 Sala zindagi ko kis tarha apni abdi zindagi ki tabahi k liye istemal kar rahay hain,kis tarha Khassaray ka soda kar rahay hain..Hidayat ki talsh hay?
Quran kholiye..kia hay jo wo aap ko naho bata daita..wo aap ko masoom,anjan or ba-khabar nahi rahnay daita…aap ka asal aap k monh par de marta hay..Kia Allah Insan ko nahin janta hoga???us Makhlooq ko jo us ki Arbon,Kharbon(Million,Billion) takhleeqat main se aik hay…
Dua qabool nahi hoti to asar or waseelay talash karnay k bajaye sirf hath utha lijye,Allah se khud mangain…de day to shukar karain,na day to Sabar…………..magar hath aap khud hi uthayain..
Zindagi ka qareena or saleeqa nahi araha to Aswa-e-Husna(Sallal LahoAlahe Walay
Hi Wasallam)ki taraf chalay jayain,sab kuch mil jaye ga aap ko Aihtram har aik ka karain…….har Wali ka,har Momin ka,har Buzurg ka,har Shaheed ka, har Saleh ka, har Parsa ka......
Magar apni zindagiyon main hidayat or rahnumai sirf Hazrat Mohammad(Sallal Laho
Alahae Walay Hi Wasallam)se lain q k unhon ne aap tak apnay zaati ahkamat nahi
pohanchaye jo kuch bataya hay wo Allah ka nazil karda hay.......
Dr.Syed Sabt Ali kon hay,

kia hay,

kon janta hay ussay???

Aap......??

Aap k ilawa chand so(100)log....

chand Hazar log magar jis Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)ki bat main kar raha hoon,unhain to aik Arab k qareeb log apna Rohani Paishwa mantay hain…main to wohi kuch kahta ,dohrata phirta hoon,jo 1400 Saal pahlay Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)farma chukay hain…kia nai bat kahi main ne????

9 Comments:

  1. Tauqeer said...
    kaash k yeh itni simple si baat hum sub ki samajh mai aajaye, laiken insani fitrat hi kuch aisi hai, hameesha nai cheez ki talash mai rehti hai, to kabhi kabhi yeh chahat insaan ko 'sahi' kaam say bhatka deti hai. Yehi haal hamarey musalman bhaiyoun ka hai, Aik Quran, aik Sunnat, laiken phir bhi talash jari hai,,,,, Allah talah hum sub per rehm keray and hamie sahi deen per amal kernay ki taufeeq ata farmaye. (Aameen)
    Anaa said...
    Allah talah hum sub per rehm keray and hamie sahi deen per amal kernay ki taufeeq ata farmaye. (Aameen)

    han,,baat tu simple he hai,,,,but hum sub amal nahi kertey,,,boht thori koshih kertey hai shayed.........
    Tauqeer said...
    koshish kernay say kia nahi hosakta!
    Anonymous said...
    Really A great thing done by Umera N when today i went to buy dis Novel i was soo excited what will be inside n as i took dat in my hands Dere was sumthin written on title,"Umera AHmed did her MA english from Govt Murray college Sialkot n she is from sialkot"For a while i kept on watchin at dat title N thought abt dat MA english Block which i was used to cross daily in order to get into my block i mean FSc clases I thought a person havin such a nice thinkin have ever been dere N Ofcourse Iqbal also ..... Great persons N i started thinkin what she will be doin Now ,, will she be havin her dinner N all dese sort of Useless things.ANyhow Really a Great thing Done by Umera ,,,N ya we all Knows(approximately)everything but we are not willing to act on dat we should not be double minded N should be one in our belief
    Anaa said...
    So u bought this,,great!
    it would be good read .it is a new information for me that iqbal and umera are pass out of same college.. it is good to hear that u are a student of murray college as well,,it is a thing of great honour for u .......
    agree,,we know but we don't act...may be lack of motivation and environmetn in which we are living in,,
    Anonymous said...
    But sIs u knw what Sialkot is one of toppest industrialist city of pakistan N we dont have even a single University n as far as murray college Is concerned so chup he baihter hai hum jo kuch parhtay ya kartay hai apni madad app k taihat.I remeber mera Chemistry ka practical tha mere pass koi sfarish naihe thi mujhay sab ataa tha laikin mujha quipment he provide naihe kiya gaya to do all dat N i was watchin dere faces but Allah help me out i did it very harldy but.......
    Anaa said...
    yeah,,true here educationist are playing with student's future ,,even at karachi university which has a good reputation i m not satisfied with the standard of faculty plus they are not highly educated which they should be .....
    Sifarish wala masla is every where..from education to job.....lakin one should try not to indulge in this kind of activity,,,
    then one day these little drops would become sea insha-Allah
    Unknown said...
    Yeh I really admire the every writing of Umaira Ahmed but this one "Peer-eKamil" is marvelous, superb. Ms. Umaira best thing is that through her writing she teaches some principal of Islam in a very realistic way, its seem to b very near to our normal routine life so the main aim is that how we can apply the main principles of Islem into our routine life. I really like n much impressed.

    Sidra Batool
    Anaa said...
    hey Sidra!
    yup,agreed on what u said on Umera...an influential writer she is.

Post a Comment